PYAASA


Aaya hai monsoon,
samundar ko peete huye,
chattanon pe rengthe huye,
duniya gol gol ghumte huye,
aayahai monsoon mera shehar,
khaas mereliye kyun ki pyaas meraa buraa hai

Aur saath laayi hai,
Uske bheege huye zulfon se tapak they boonde,
Uski saavli gaalon pe chamak the huye boonde,
Uski ediyon ki chaal se chidak thi hui boonde,
Jin boondon ke gungunahat mein uski muskurahat goonjta hai

Yeh anjaan boonde,
na jaane kis taalab ke hai, najaane kis nadi, samundar ke hai,
yeh anjaan anaamak boonde,
baraste hai aasmanon se theek mere samne us nazneen ke oopar,
jaise kaynat ne bheja hai meraa pataa dekar,
mere maheenon ke pyaas bhujaate hai

Inhe main aakhon se peeta hoon
aur mann bhar jaata hai,
mazaa aa jata hai

No comments: